Utarte hain tum salam Allah Allah Khuda ne kiya ehtram Allah Allah
Wahin tere diwano ki eid hogi Jahan hoga deedar-e-aam Allah Allah
Hai diwano mein dekha diwana-e-Qarni Ghulamon mein ghulam-e-Habshi Allah Allah
Jo Rumi o Saadi o Jami ko bakhsha Pila do mujhe bhi woh jaam Allah Allah
Jo ahl-e-nazar hain wohi jaante hain Jo shaan aap ka jo maqam Allah Allah
Namaz-e-mohabbat ada hui us ki Hua ishq jis ka imam Allah Allah
Ameer Hazin ko nahin fikr-e-mahshar Hai mahshar mein un ka nizam Allah Allah