We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Unki Rehmat Mili Jab Madine Gaya

Un ki rehmat mili jab Madinah gaya Meri qismat khuli jab Madinah gaya Chatki dil ki kali jab Madinah gaya Phool si ban gayi jab Madinah gaya Un ki khushboo se rahein mehekti huiN Dekh li har gali jab Madinah gaya Haazri un ke dar ki bari cheez hai Baat bigdi bani jab Madinah gaya Rooh murda ko un ke karam se mili Ek nai zindagi jab Madinah gaya Shahr-e Tayyiba ka kya hai jahan mein maqam Ho gayi aagahi jab Madinah gaya Sabz gunbad par pahunchee nazar to mitti Dil ki pazhmardagi jab Madinah gaya Har taraf hi nazar aayi mujh ko Riyazؔ Nur ki chaandni jab Madinah gaya



Get Lyrics On-The-Go! Download Our App Now!

Get it on Google Play

Never Be Without Your Favorite Lyrics - Get the App for Offline Access!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah