Tumhara zikr jab kiya hunar kamaal ho gaya Har ek sher naat ka falak misaal ho gaya
Tamaam ho gayi meri kasheedgi naseeb se Tum aa gaye Khuda se raabta bahaal ho gaya
Durood keemiya hai qalb-o-jaan ke itminaan ko Labon pe aa gaya toh door har malaal ho gaya
Mera jahaan-e-hast uske dam-e-qadam ka faiz hai Wujood ka sabab jo ek khush-khayaal ho gaya