Tum pe qurban Aqa meri jaan hai Naat teri parhe sara Quran hai Tujh ko Rab ne diya hai bara rutba Saare Nabiyon ka tuhi to sultan hai Hum ko jo kuch mila tere dar se mila Aqa teri mohabbat hi iman hai Wah kya martaba tere darbar ka Jibra'il Ameen tera darbaan hai Is ko kuch gham nahi hai qabr wa hashar ka Pyaare Aqa to jis ka nigahban hai Is gunahgar par hoga razi Khuda Razi jis pe khudai ka sultan hai Naat Thaqib likhoun kya haysiyat meri Naat khwan tera Aqa to Rahman hai