Tujhe Rabb ne kya banaya Makkah Madine wale Yeh koi samajh na paya Makkah Madine wale
Tera faiz-e-aam jaari teri zindagi nirali Tujhe har wali mein paya Makkah Madine wale
Kaha sab ne nafsi nafsi tere lab pe Rabbi Habli Tere paye ka na paya Makkah Madine wale
Na koi bata saka hai na koi bata sake ga Tujhe Rabb ne kab banaya Makkah Madine wale
Hai dua-e-Ahle-Sunnat ke jahan mein rang-o-bu hain Rahe Sayyidon ka saya Makkah Madine wale
Hai ye Fatimah ؑ ka sadqa main tere nasab ka hissa Mujhe Hashmi banaya Makkah Madine wale