Tujh pe pooray kabhi utray nahi mayaar meray Lafz ke aajz ka izhaar hain ash'aar meray
Saaybaan hai mera ehsaas tere honay ka Jis ke saaye mein kharay hain dar-o-deewaar meray
Teri naaton se attay hain tere Ramzan ke shehr Teri khushboo se bharay qaryah-o-bazaar meray
Ghantiyan rooh ke sanaton mein baj uthti hain Jab bhi yaad aatay hain woh kaarwaan-saalaar meray
Meray dushman ke labon par tera naam aaya tha! Khud-ba-khud gir gayi haath se talwaar meray
Naat parhta hoon to mehsoos yeh hota hai Nisarؔ Yahin is bazm mein maujood hain Sarkar ﷺ meray