Tu seerat-o-kirdar mein bhi wahy-e-Khuda hai Tu sall-e-ala sall-e-ala sall-e-ala hai
Itna mujhe maloom hai Sarkar-e-Do-Alam Posheeda tere husn mein, husn-e-Khuda hai
Paimana chalak jaaye na ab sabr ka mera Itna to bata hijr saza hai jaza hai
Darr hai na utar jaaye kahin neend se Aaqa Jo nasha teri yaad mein jaagan se mila hai
Khali koi lauta nahin darbar se tere Rehmat hai teri khoob ajab faiz tera hai
Jee na ho ke ho maut mile deed-e-Payambar Gar rukh se hai parda to jannat bhi bhala hai
Aaqa ki ziyarat se haseen aankh ho roshan Ujri nigahon ki talab is ke siwa kya hai