Tu ne woh diya jala diya hai Zarraat ko jagmaga diya hai
Ae subh-e-jamal-e-nau yeh kis ne Chup ko husn-e-nawa diya hai
Ae afw ke kohsaar tu ne Daryaon ko raasta diya hai
Paabos tere, sabhi taghayyur Kaisa sikka chala diya hai
Hum ko saat aasman dikhakar Yaara bhi udaan ka diya hai
Aaya hai jahaan kahin zikr tera Quran bhi muskura diya hai
Koi na kabhi bhatak sake ga Aisa rasta dikha diya hai