Thandi thandi hawa Madine ki Mehki mehki fiza Madine ki
Aarzoo hai Khuda-e-Azz-o-Jal Madine ki Mujh ko galiyaan dikha Madine ki
Chaaon to har jagah ki thandi par Dhoop bhi dilruba Madine ki
Phool to phool khaar bhi dilkash Pattiyan dilruba Madine ki
Zarra zarra wahan ka noorani Hai munawwar fiza Madine ki!
Ghamzada aankh khol ke dekho Chha gayi hai ghata Madine ki
Kyun ho mayoos ae mareezon tum Le lo khaak-e-shifa Madine ki
Bhai-e-Talib-e-Baqee hoon main Mujh ko de do dua Madine ki
Raat din ye tumhare ﷺ deewane Maangte hain dua Madine ki
Ja ke Attar phir Madine mein Rehmaten lootna Madine ki
Aah Attar ban gaya insaan Khaak kyun na bana Madine ki