Thandi thandi hawa Haram ki hai Barish Allah ke karam ki hai
Aaminah ke makaan pe roz-o-shab Barish Allah ke karam ki hai
Jo Haram ka adab karein un par Barish Allah ke karam ki hai
Noori chadar tani hai Ka'be par Barish Allah ke karam ki hai
Multazam aur be-e-Zamzam par Barish Allah ke karam ki hai
Baab-o-Meezab-o-Hajar-e-Aswad par Barish Allah ke karam ki hai
Mustajaar aur Rukn-e-Shaami par Barish Allah ke karam ki hai
Kaisa Rukn-e-Iraaqi hai nikhra Barish Allah ke karam ki hai
Mustajaab-o-Hateem par beshak Barish Allah ke karam ki hai
Rehmatein hain mataaf par bhi aur Barish Allah ke karam ki hai
Paak ghar ke tawaaf walon par barish Allah ke karam ki hai
Makkah-e-Paak par Madine par Barish Allah ke karam ki hai
Sabz gumbad pe rehmatein hain aur barish Allah ke karam ki hai
Ka'ba-e-Paak par manaaron par Barish Allah ke karam ki hai
Un ke mehraab aur mimbar par Barish Allah ke karam ki hai
Ya-Ilahi! Gham-e-Madinah de Iltija Mustafa ke gham ki hai
Qalb-e-muztar ki laaj rakh Maula Yeh sada meri chashm-e-nam ki hai
Jo nazar aa rahi hai har jaanib Sab bahaar un ke dam-e-qadam ki hai
Mere Maula gham-e-Madinah hi Aabroo meri chashm-e-nam ki hai
Sozish-e-seenah-o-jigar de de Aarzoo mujh ko chashm-e-nam ki hai
Khoon rulaaye sada teri ulfat Aarzoo aisi chashm-e-nam ki hai
Aafton se bacha le Ya-Allah Mujh pe yalghaar ranj-o-gham ki hai
Bigdi taqdeer abhi sanwar jaaye Der ik junbish-e-qalam ki hai
Qaaflon mein safar karo yaaro! Bil-yaqeen raah yeh Iram ki hai
Saare apnaao ''Madani In'aamaat'' Gar tumhein aarzoo Iram ki hai
Laaiq-e-naar hain mere aamaal Iltija Ya-Khuda karam ki hai
Apni ummat ki maghfirat ho jaaye Aarzoo Shaafi-e-Umam ki hai
Bakhsh de ab to mujh ko Ya-Allah Yeh du'a tujh se chashm-e-nam ki hai
De de ''Qufl-e-Madinah'' Ya-Allah Ho karam iltija karam ki hai
Kaash! Har saal hajj kare Attaar Arz badkaar par karam ki hai