Teri hain kis qadar pyari adayein Ya Rasool Allah ﷺ Khuda karta hai khud teri sanayein Ya Rasool Allah ﷺ
Bikherein aap jab zulfein toh yun maloom hota hai Jahan par chha gayin kaali ghatayein Ya Rasool Allah ﷺ
Mere jaise hazaron dil figaron ko qarar aaya Jo chhuke aayein rauze kohawayein Ya Rasool Allah ﷺ
Yeh jaan zakhami yeh dil zakhami tumhari yaad mein Aaqa Inhein deedar ka marham lagayein Ya Rasool Allah ﷺ
Darr-e-Aqdas pe jab aayein ziyarat ka sharaf paayein Hamein bakhshish ki khushkhabri sunayein Ya Rasool Allah ﷺ
Naza ke waqt lab par hon teri chahat ke afsane Madinah mere seene ko banayein Ya Rasool Allah ﷺ
Nidamat ke siwa kuch bhi nahi hai paas Nasirؔ ke Mujhe daman-e-rehmat mein chhupayein Ya Rasool Allah ﷺ