Tajdar-e zaman Malik-e do jahan kab tere dar pe tera ghulam aayega
Kab Main dekhunga gonbad ki hariyaliyan kab Madinah se mujh ko payam aayega
Sochta hoon Madinah ko jab jaaonga kaise saaray adaab laaon
Rok loonga main sajdon se kaise jabeen jab woh Kaaba se barh kar maqaam aayega
Mujh ko maaloom hai hogi itni khushi khatam ho jaaye gi yeh meri zindagi
Meri muztarr nigahon ke saamne roza-e-pak khair-ul-anaam aayega
Aashiqon ka zikr un ka yaad-e-Aqa main roote ratay raho
Bas yehi kaam hai woh Khuda ki qasam rooz-e-mahshar tumhaare jo kaam aayega
Kas qadr hogi farhat-faza woh ghadi kas qadr hogi rahat-nama woh ghadi
Za'ireen-e-Madinah ki fehrist mein jo khata-kaar-saim ka naam aayega