We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Tajdar e Ambiya

Tajdar-e-Anbiya, ahlan-wa-sahlan marhaba Razdar-e-Kibriya, ahlan-wa-sahlan marhaba


Aa gaye Khair-ul-Wara, ahlan-wa-sahlan marhaba Aaye Shah-e-Anbiya, ahlan-wa-sahlan marhaba


Mazhar-e-Rabb-ul-Ula, ahlan-wa-sahlan marhaba Mustafa-o-Mujtaba, ahlan-wa-sahlan marhaba



Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play


Peshwa-e-Anbiya, ahlan-wa-sahlan marhaba Mursaleen ke Muqtada, ahlan-wa-sahlan marhaba


Sayyid-e-Arz-o-Sama, ahlan-wa-sahlan marhaba Sarwar-e-har do sara, ahlan-wa-sahlan marhaba


Khalq ke hajat rawa, ahlan-wa-sahlan marhaba Dafi-e-ranj-o-bala, ahlan-wa-sahlan marhaba


Sayyid-o-sardar-e-ma, ahlan-wa-sahlan marhaba Be-kason ke aasra, ahlan-wa-sahlan marhaba


Malik-o-mukhtar-e-ma, ahlan-wa-sahlan marhaba Hami-e-har be-nawa, ahlan-wa-sahlan marhaba


Mashriq-o-maghrib mein ik ik bam-e-Kaaba par bhi ek Nasb parcham ho gaya, ahlan-wa-sahlan marhaba


Chand sa chamkate chehra noor barsate hue Aa gaye Badr-ud-Duja, ahlan-wa-sahlan marhaba


Aamina ke ghar mein Aaqa ki wiladat ho gayi Marhaba salli ala, ahlan-wa-sahlan marhaba


Jhuk gaya Kaaba sabhi but munh ke bal aundhe gire Dabdaba aamad ka tha, ahlan-wa-sahlan marhaba


Chaudah kangure gire aatishkada thanda hua Satpata shaitan gaya, ahlan-wa-sahlan marhaba


Soi qismat jaag uthi aur sab ki bigdi ban gayi Bab-e-rehmat wa hua, ahlan-wa-sahlan marhaba


Aate hi sajda kiya aur Rabbi habli ummati Ki, zabaan par thi dua, ahlan-wa-sahlan marhaba


Khoob jhoomo Aasiyo! woh muskurate aa gaye Shafi-e-roz-e-jaza, ahlan-wa-sahlan marhaba


Eid-e-Milad-un-Nabi hai chaar janib roshni Har taraf hai ghulghula, ahlan-wa-sahlan marhaba


Chhat gaye zulmat ke badal noor har su chha gaya Aa gaye Noor-e-Khuda, ahlan-wa-sahlan marhaba


Jin ke parto se hai saari jagmagati kahkashan Aaye woh Shams-ud-Duha, ahlan-wa-sahlan marhaba


Aasmanon par gaye aur khuld ki bhi sair ki Shah ka yeh martaba, ahlan-wa-sahlan marhaba


Hazir-o-nazir bhi hain aur batin-o-zahir bhi hain Kuch nahi un se chhupa, ahlan-wa-sahlan marhaba


Qabr mein Attar ki, aamad ho jab Sarkar ki Ho zabaan par Ya Khuda, ahlan-wa-sahlan marhaba


Hashr mein Attar un ko dekhte hi bol utha Marhaba Ya Mustafa, ahlan-wa-sahlan marhaba

No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah