Tayyibah ki taraf hai azm-e-safar-e-dil wajd mein hai jaan raqs mein hai Hai gumbad-e-Khizriya pesh-e-nazar-dil wajd mein hai jaan raqs mein hai Tayyibah ki munawwar raag guzr-dil wajd mein hai jaan raqs mein hai Har zarra hai rishk-e-Shams wa qamar-dil wajd mein hai jaan raqs mein hai Wa-layl ka roshan manzar hai wa Shams ke noori jalwe hain Hain kitne-haseen yeh shaam wa-sahar dil wajd mein hai jaan raqs mein hai Lo zulmat-e-Sham ranj-e-alam wa ab doorohi kafur hui Umeed ki chamki aaj sehar dil wajd mein hai jaan raqs mein hai Khurshid Madinah ke jalwe raatoN ko munawwar karte hain Har-raat yahan hai rishk-e-sahar dil wajd mein hai jaan raqs mein hai Jab tashna-e-ulfat ne paaye is abar-rahmat ke cheente Aankhon ne lataye lal o gehar dil wajd mein hai jaan raqs mein hai Deewana-e ishq hazrat hoon begana-e-aql hoosh nahi Har-haal adab hai pesh-e-nazar-dil wajd mein hai jaan raqs mein hai Phir yaad mujhe bhi farmaya Sarkar-e-Madinah ne afzal Jab se yeh suni hai main ne khabar dil wajd mein hai jaan raqs mein hai