Sukoon paya hai bekasi mein hudood-e-gham se nikal gaya hoon Khayal-e-Hazrat ﷺ jab aa gaya toh girte girte sambhal gaya hoon
Kabhi main subah-e-azal gaya hoon kabhi main sham-e-abad gaya hoon Talash-e-Janan ﷺ mein kitni manzil Khuda hi jaane nikal gaya hoon
Haram ki tapti hui zameen par jigar bichane ki aarzu thi Bahar-e-khuld-e-bareen mili toh bacha ke daaman nikal gaya hoon
Mire janaze pe rone walo fareeb mein ho baghaur dekho Mara nahi hoon gham-e-Nabi ﷺ mein libas-e-hasti badal gaya hoon
Yeh shaan meri yeh meri qismat khusha mohabbat zahe aqeedat Zabaan pe aate hi naam-e-nami ﷺ adab ke saanche mein dhal gaya hoon
Ba-faiz-e-Hassan ibn-e-Thabit ba-rang-e-Naat-e-Nabi Akram ﷺ Qamarؔ mein sher-o-sukhan ki lay mein adab ke moti ugal gaya hoon