Sukoon-e-qalb hai khuld-e-nazar Madinah hai Nishan-e-azmat-e-Khair-ul-Bashar ﷺ Madinah hai
Tamam husn-o-latafat tamam ra'nai Gohar Madinah hai aab-e-gohar Madinah hai
Dara saki na mujhe sham-e-gham ki tanhai Mere wajood mein noor-e-sahar Madinah hai
Hazar shehar hain dunya mein shaad aur aabad Magar woh shehar jo "pi ka nagar" Madinah hai
Madine ja ke hua hai ajeeb haal mera Harak se pooch raha hoon kidhar Madinah hai
Na pooch mujh se mere mustaqar ka haal ahwal Main kya bataoon ke mera to ghar Madinah hai
Bahane paaye khirad dhoondta hi rehta hai Udhar yeh haal ki pesh-e-nazar Madinah hai
Musafiran-e-rah-e-shauq itna jaante hain Safar Madinah hai zaad-e-safar Madinah hai
Mujhe nahi kisi manzar se wasta Aslam Nigah-e-shauq mein aathon pehar Madinah hai