Soye-Tayyaba jaane walo! Mujhe chhor kar na jaana Meri aankhon ko dikha do Shah-e-Deen ka aastana
Hain woh jaaliyan sunheri meri hasraton ka mehwar Woh sambhaala mujh ko denge jo hain khaas Rab ke dilbar
Mujhe pahunch kar Madinah nahi laut kar hai aana Soye-Tayyaba jaane walo! Mujhe chhor kar na jaana
Main tarap raha hoon tanha meri bebasi toh seekho Main aseer-e-ranj-o-gham hoon meri bekali toh dekho
Zara Roza-e-Nabi ka mujhe raasta batana Soye-Tayyaba jaane walo! Mujhe chhor kar na jaana
Dar-e-Mustafa par meri jab haazri lage gi Mujhe phir karam se un ke nayi zindagi mile gi
Koi kal ka ek pal ka nahi kuch bhi hai bharosa Mujhe hamsafar bana lo kahin reh na jaaun pyaasa
Dar-e-Mustafa hai Ishrat mera aakhri thikana Soye-Tayyaba jaane walo! Mujhe chhor kar na jaana