Soorat-e-najat ban gayi Aap aaye baat ban gayi Pehle un ka noor ho gaya Phir yeh kainaat ban gayi Rukh ki roshni se din bana Geeson se raat ban gayi Jaan di dar-e-Huzoor par Maut bhi hayat ban gayi Ayat-e-Quran jo parhi Mustafa ki naat ban gayi Naseer un ki chaukhat par Hum aasiyaan ki baat ban gayi