Siyah daftar-e-a'maal kaise ruswa ho Jab us pe aap ﷺ ki rehmat ka parda ho
Na maawara ki talab ho na maaswa ka khayal Kuch is tarah se dil-o-jaan pe tera qabza ho
Huzoor-e-ghayb se mujh par tera khayal utre Mera khayal tere qurb se mehakta ho
Har ek lamha nayi jaan mile faqiron ko Har ek lamha-e-jaan mein tera basera ho
Siyahi-e-dil-e-sangin aaina ho jaaye Is aaine ko tumhari nazar ka lapka ho
Ajeeb aalam-e-waraftagi mein padhta hoon Ke jaise Surah Yaseen un ka chehra ho
Mere Kareem ﷺ ki ruhaniyat ka abr-e-matir Koi makaan nahin aisa jahan na barsa ho