Shahd se meetha Muhammad naam
Meem se hain mehboob woh Rab ke Ha se hakim-e-Ajam-o-Arab ke Doosri meem se maalik sab ke Daal se daata dono jahaan ke
Jood hai unka aam
Meem me toheed pilaye Ha phir aake Haq se milaye Doosri meem muraad dilaye Daal bacha ke dozakh se
Firdous ka de paighaam Shahd se meetha Muhammad naam
Meem se hain har dukh ka madaawa Ha se haami har bechara Doosri meem yateem ka malja Aur yeh daal Muhammad yaaro
Door kare aalaam Shahd se meetha Muhammad naam
Meem mohabbat ki le laaya Ha se Haq ka jaam pilaya Doosri meem se mast banaya Daal se dil mein Basheer ke unki
Yaad hai subh-o-shaam Shahd se meetha Muhammad naam