Shajar hajar tumhein jhuk kar salaam karte hain Yeh be-zabaan tumhein se kalaam karte hain
Zameen ko arsh-e-mualla hai tera gumbad-e-sabz Teri gali mein farishtey qayaam karte hain
Musafiron ko tera dar hai manzil-e-aakhir Yehein sab apni musafat tamaam karte hain
Jinhein jahaan mein kahein bhi amaan nahi milti Woh qafle yahaan aakar qayaam karte hain
Nazar mein phirte hain tere dayaar ke manzar Usi nawaah mein hum subh-o-shaam karte hain
Sukoon-e-dil ki unhein se umeed hai Nasir Jo apna faiz ghareebon pe aam karte hain