We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Shah e Taiba Ke Naam Do Qadam Sath Sath

Muhammad Khan Qadri Humbali Arshad Habibi

Shah-e-Taybah ke naam do qadam saath saath Mere Aqa ke naam do qadam saath saath


Gungunate chalo muskurate chalo Naara-e-Ya Muhammad ﷺ lagate chalo


Shah-e-Taybah ke naam do qadam saath saath Mere Aqa ke naam do qadam saath saath


Aao mil jul ke shana-ba-shana chalein Dekh le aaj sara zamana chalein


Shah-e-Taybah ke naam do qadam saath saath Mere Aqa ke naam do qadam saath saath


Khoti qismat banayein chalo saath saath Mustafa ko manayein chalo saath saath


Shah-e-Taybah ke naam do qadam saath saath Mere Aqa ke naam do qadam saath saath


Jashn-e-Milad hai kya haseen baat hai Sab ke daaman mein khushiyon ki khairaat hai


Shah-e-Taybah ke naam do qadam saath saath Mere Aqa ke naam do qadam saath saath


Eid-e-Milad hai saare dil shaad hain Aaj veeraniyan saari abad hain


Shah-e-Taybah ke naam do qadam saath saath Mere Aqa ke naam do qadam saath saath


Mominon un ki aamad ka charcha karo Apna sab kuch Muhammad ﷺ pe wara karo


Shah-e-Taybah ke naam do qadam saath saath Mere Aqa ke naam do qadam saath saath



Get Lyrics On-The-Go! Download Our App Now!

Get it on Google Play


Karwan-e-Muhammad ﷺ ruke ga nahin Kamli wale ka jhanda jhuke ga nahin


Shah-e-Taybah ke naam do qadam saath saath Mere Aqa ke naam do qadam saath saath


Mast-o-be-khud hain sab jashn-e-Milad mein Haidari hain sabhi Hyderabad mein


Shah-e-Taybah ke naam do qadam saath saath Mere Aqa ke naam do qadam saath saath


Apni jaano ki parwah karte nahin Hum Hussaini hain baatil se darte nahin


Shah-e-Taybah ke naam do qadam saath saath Mere Aqa ke naam do qadam saath saath


Bila-yaqeen hum ko jannat mein le jaye gi Qabr mein bhi yahi Eid kaam aaye gi


Shah-e-Taybah ke naam do qadam saath saath Mere Aqa ke naam do qadam saath saath


Mustafa ka gharana salamat rahe Murtaza ka gharana salamat rahe


Shah-e-Taybah ke naam do qadam saath saath Mere Aqa ke naam do qadam saath saath


Qalb-e-Arshad ki hai bas yahi iltija Har Musalman sipahi bane deen ka


Shah-e-Taybah ke naam do qadam saath saath Mere Aqa ke naam do qadam saath saath

Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah