Sarwar se dil lehak raha hai durood se rooh khil uthi hai Kisi ki aamad ka silsila hai hawa musalsal mehak rahi hai
Hawa usi ki makaan makaan hai sada usi ki gali gali hai Usi se dam dam ka wasta hai usi se dilri lagi hui hai
Kahan ilm koi dhar sake ga kahan koi madah kar sake ga Kalaam-e-Aala hai hamd-e-wala lari lari se mili hui hai
Maal-e-ruswa kise dikhaoon sukoon ke lamhe kahan se laoon Giraan hamari sadi sadi hai kari hamari ghari ghari hai
Hawas ki wadi guman ka sehra kahan kahan sargardan rahe ho Umam umam ke liye wahi rah-e-Hamdi rah-e-daimi hai
Durood ki lay se lay mila kar ek aadmi madah kar raha hai Walaye Sarkar ka sawali gadaye Sarkar, Alwura hai