Sarkar ki aamad marhaba, Sardar ki aamad marhaba Manthar ki aamad marhaba, Dildar ki aamad marhaba
Sab mil kar bolo marhaba aur zor se bolo marhaba Dhoom macha do, macha do dhoom macha do aamad ki
Machi hai dhoom Paighambar ki aamad aamad hai Habib-e-Rab-e-Akbar ki aamad aamad hai
Yeh kis shahanshah-e-wala ki aamad aamad hai Yeh kaun se shan-e-wala ki aamad aamad hai
Dhoom macha do, macha do dhoom macha do aamad ki Aa gaye Sarkar bolo, aa gaye Sarkar
Sarkar ki aamad marhaba, Sardar ki aamad marhaba Sab mil kar bolo marhaba aur zor se bolo marhaba
Farishte aaj jo dhoomein machane aaye hain Unhin ke aane ki shadi rachane aaye hain
Rusul unhin ka toh mujhda sunane aaye hain Unhin ke aane ki khushiyan manane aaye hain
Dhoom macha do, macha do dhoom macha do aamad ki Aa gaye Sarkar bolo, aa gaye Sarkar
Yehi toh soye huon ko jagane aaye hain Yehi toh rote huon ko hansane aaye hain
Sarkar ki aamad marhaba, Sardar ki aamad marhaba Sab mil kar bolo aur zor se bolo marhaba
Unhin Khuda ne kiya apne mulk ka maalik Unhin ke qabze mein Rab ke khazane aaye hain
Dhoom macha do, macha do dhoom macha do aamad ki Aa gaye Sarkar bolo, aa gaye Sarkar
Sarkar ki aamad marhaba, Sardar ki aamad marhaba Sab mil kar bolo marhaba aur zor se bolo marhaba