Sarkaar ke qadamon pe yeh sar kaisa lagega Woh aayein mere ghar mein to ghar kaisa lagega Batlaaye koi jab ho tasawwar mein Madinah Aise mein Madinah ka safar kaisa lagega Allah kare mera Madinah mein ho maskan Par-noor fazaon ka nagar kaisa lagega Sarkaar ke darwaze pe kis tarah mein maango Us dar pe mera deedah-tar kaisa lagega Jis dar pe hai mangtoon ke liye marna bhi jeena Sultan-e Madinah ka woh dar kaisa lagega Yeh zeest ke luhmaat guzaar jaayenge Guzre jo Madinah woh pehr kaisa lagega Main sochta rehta hoon unhein paish kardoon kya Nazrana-e-jaan ka yeh gehar kaisa lagega Kuch mangne ki qaid nahi garcha Niazi Sa'il ke liye waqt-e-sahar kaisa lagega