Sarkar ke ghulamoon mein hai naam ho gaya
Bigra hua tha mera jo sab kaam ho gaya
Baqi koi bhi tashangi rahti nahi iski
Jis ko ata Sarkar se ek jaam hogaya
Ishq-e Rasool jis ke bhi dil mein sama gaya
Dono jahan mein roshan is ka naam hogaya
Miraaj ki shab Masjid-e-Aqsa mein dosto
Mera Nabi sab Nabiyon ka Imam ho gaya
Kin ki thi kunji mere to Sarkar ki zubaan
Quran wa Ahadith Aqa ka kalaam ho gaya
Sina hua roshan mera dukh door ho gaye
Jab se yeh thaqib tera hai ghulam ho gaya