Sarkar karam kar do sarkar karam kar do Mangta hoon tere dar ka jholi ko meri bhar do
Naiya hai meri Aaqa tere hi sahara par Mujh par bhi mere Aaqa rehmat ki nazar kar do
Tarpa hoon mere Aaqa Taiba ki judai mein Qismat mein meri Aaqa Taiba ka safar kar do
Hasnain ke sadqe mein yeh mangta hoon Aaqa Yaadon mein teri roye woh aankh ata kar do
Kab tak main rahoon Aaqa duniya ke jhamelon mein Veeran hai dil mera is mein bhi ziya kar do