Aao Aasiyo Sarkar ka darwaza khula hai Us Malik wa Mukhtar ka darwaza khula hai
Jo kuchh bhi hai darkaar to jaa maang le un se Sab Nabiyon ke sardaar ka darwaza khula hai
Jo tujh ko sukoon chahiye Sarkar ke dar ja Us munis wa ghamkhawar ka darwaza khula hai
Main peeni hai jo ishq-e-Mohammad ﷺ ki Ae yaaro Meekhwaar aao yaar ka darwazi khula hai
Jo g main nahi koi tera khauf na kar to Allah ke dildar ka darwaza khula hai
Poochhe na yeh duniya tujhe Saqib na to ghabra Taiba ko ja Sarkar ka darwaza khula hai