We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Sarkar Bulayein Ge Galiyon Main Madine Ki

Sarkaar bulaayenge galiyon mein Madinah ki Hum jhoomte jaayenge galiyon mein Madinah ki Woh apne ghulamoon ko mehroom rakhenge Aik roz bulaayenge galiyon mein Madinah ki Duniya ke khazaane kya Aqaba ke khazaane bhi Sab dekhna paayenge galiyon mein Madinah ki Jo pyaasey hain deewane un ko woh may-e-ulfat Nazaroon se pilayenge galiyon mein Madinah ki Jo rokate hain zalim Tayyiba ki ziyarat se Har gaz woh na jaayenge galiyon mein Madinah ki Apna to yeh imaan hai sab kuch hai Madinah mein Har nimat paayenge galiyon mein Madinah ki Ashaq chale Tayyiba Sarkar ke rooze par Yoon ghomtay jaayenge galiyon mein Madinah ki Vaan gumbad-e Khizri ke parnoor nazaarein Dekhain ge dikhayenge galiyon mein Madinah ki Gham apne ghalaat honge saeel jo wahan chal kar Roodad sunayenge galiyon mein Madinah ki



No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play

More Lyrics, Less Storage - Install the App and Ditch the Screenshots!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah