Saare rusul ke tum ho Sultan kamli wale Tere liye bana hai yeh jahaan kamli wale Sooraj palat tha aaya tukde hua qamar bhi Tera suna jo us ne farmaan kamli wale To jo na hota Aaqa kuch bhi na hota jag mein Saare jahan ki hai to jaan kamli wale Kardo yeh aas poori ae Aaqa Noori Noori Ban jaaun tera main bhi mehmaan kamli wale Tere dar ki shaan aali saara jahan sawali Jibril bhi hai tera darbaan kamli wale Arsh bhi lagaen naghme farshi bhi gaayeN naghme Har waqt aur gaayeN Quran kamli wale Mi'raaj ki hai saat Arsh-e Aliya pe ja kar Allah ka to bana hai mehmaan kamli wale Waqt-e naza ho jab bhi Saqib ka mere Aaqa Qadamon mein tere nikle yeh jaan kamli wale