Sar se paaon tak mojaza mere Nabi ki zaat hai Jo hai shahkar-e-Khuda mere Nabi ki zaat hai
Sang-bari ki faza mein jo duaen kar gae Paikar-e-sabr-o-raza mere Nabi ki zaat hai
Harf-e-Iqra ki sadaen goonjti thin ghaar mein Sahib-e-Ghaar-e-Hira mere Nabi ki zaat hai
Hai Khalil-ullah, Zabih-ullah, Kalim-ullah magar Sirf Mehboob-e-Khuda mere Nabi ki zaat hai
Aap ke daaman ka saaya nek-o-bad sab pa gae Rehmaton ka silsila mere Nabi ki zaat hai
Hon Abu Bakr-o-Umar ya hon Usman-o-Ali Un sitaron mein ziya mere Nabi ki zaat hai
Noor pehle baad mein ba's ujagar ho gai Ibtida-o-intiha mere Nabi ki zaat hai