Jahan bhi ho wahin se do sada Sarkar sunte hain Sar-e-aaina sunte hain pas-e-deewar sunte hain
Mera har saans un ki aahaton ke saath chalta hai Mere dil ke dhadakne ki woh raftar sunte hain
Gunahgaro durood-e-walihana bhej kar dekho Woh apne ummati ka naghma-e-kirdar sunte hain
Khaday rehte hai ahl-e-takht bhi dehleez pe unki Faqiron ki sadayein bhi Shah-e-Abrar sunte hain
Main sadqay jaaun un ki Rahmat-ul-Lil-Aalameeni ke Pukaro chahe kitni baar woh har baar sunte hain
Woh yun milte hai jaise zindagi mein koi milta hai Woh sunte hain har ek ki aur saaray darbar sunte hain
Muzaffar jab kisi mehfil mein un ki naat parhte hain Mera imaan hai woh bhi mere ashaar sunte hain