Samjhay ga kaun, kya hai yeh ramz-e-jahan-e-shauq Arsh-e-ala hai aur woh hai meizban-e-shauq
Taibah ka azm, honton pe sall-e-ala ka wird Main aur meray saath hai ik karwan-e-shauq
Partay nahi zameen pe qadam jazb-o-kaif say Yeh sarzameen-e-Taibah hai ya aasman-e-shauq
Kanon mein goonj say hai durood-o-salam ki Har zarra kainat ka hai karwan-e-shauq
Kya kya tha dil mein arz karen gay Huzoor ﷺ say Alfaaz dhoondti hai magar ab zaban-e-shauq
Un ﷺ ke qadam say ja ke nigahain lipat gayin Kehnay ko yun toh aaye thay hum dastaan-e-shauq
Manzil hai jab dayar-e-Nabi ﷺ ki nigah mein Rahat bhatak sakay ga kahan karwan-e-shauq