Saji hui hai Nabi ki mehfil faza mein khushbu si aa rahi hai Mujhe to mehsoos ho raha hai hawa Madinah se aa rahi hai Yeh kaif kya hai suroor kya hai yeh har taraf phaila noor kya hai Ae dosto aise lag raha haiSawari Aqa ki aa rahi hai Hawa munawar faza munawar bazm pe chhaayi ghata munawar Malaika ki toli falak se hai jawq darjoq aa rahi hai Yeh mast diwane kiyon hain sare yeh aaj kyon khush hain be-saharae Ke aaj ganj-e-Bari hai sab ko woh zat-e-Bari lata rahi hai Nabi ke saare gadaon aao Madinah mangain Khuda se unka Duaein maqbul hongi saari yeh raat hum ko bata rahi hai Ae Saaqib Irfan teri hissiyat hai kya ke un ki padhe to naatein Hai naat un ki Quran ki yaaro ayat ek ek suna rahi hai