Saj gaye aap ki mehfil ko sajaane waale Sohne mehboob ka milaad manaane waale
Aaminah paak tera chaand mubaarak ho tumhein Hon tere chaand pe qurbaan zamaane waale
Apne har ashk se palkon ko charaghaan kar lo Mere sarkar hain is bazm mein aane waale
Door ab sab ke muqaddar ka andhera ho ga Aa gaye chaand ko qadmon mein bulaane waale
Kitna saccha hai yeh qaul-e-Raza ka Saim Mit gaye aap ka izkaar mitaane waale