Sahara chahiye Sarkar ﷺ zindagi ke liye Tarap raha hoon Madine ki haziri ke liye
Huzoor ﷺ aisa koi intezam ho jaaye Salam ke liye hazir ghulam ho jaaye
Naseeb walon mein mera bhi naam ho jaaye Jo zindagi ki Madine mein shaam ho jaaye
Main shaad shaad marunga agar dam-e-aakhir Zabaan pe jaari Muhammad ﷺ ka naam ho jaaye
Woh bazm-e-khaas jo darbaar-e-aam ho jaaye Umeed hai ke hamara salam ho jaaye
Idhar bhi ek nigah-e-lutf-e-aam ho jaaye Ke aashiqon mein hamara bhi naam ho jaaye
Tere ghulam ki shaukat jo dekh le Mahmood Abhi Ayaz ki surat ghulam ho jaaye
Main qail aap ﷺ ke roze ka hoon woh qail-e-Toor Kaleem se na kisi din kalam ho jaaye
Madine jaaun dobara phir aaun phir jaaun Tamam umr isi mein tamam ho jaaye
Bulao jald Madine mein hai Ameer ko khauf Kahin na umr-e-do-roza tamam ho jaaye
Tumhari naat parhoon main sunoon likhoon har dam Yeh zindagi meri Nabi ﷺ tamam ho jaaye
Meri namaz-e-janaza ki yun imamat ho Ke do jahan ke Aaqa ﷺ imam ho jaayen
Piya Raza-o-Ziya ne piya jo Murshid ne Ata mujhe bhi Shaha aisa jaam ho jaaye