Sadqay mein Aap ﷺ hi ke bani-e-kainaat hai Noor-e-hayat, partav-e-wala-sifaat hai
Qabl-e-azal se Khaliq-o-Qadir ke baab mein Tamheed-e-noor Aap ﷺ hi ki paak zaat hai
Taeed-e-Haq mein baad-e-abad honge Aap ﷺ hi Mehboob par Khuda ka yeh khaas iltifaat hai
Wajah-e-sharaf hain Aap ﷺ hi insaan ke liye Warna to musht-e-khaak mein kya khaas baat hai
Dhikr-o-durood, wird-e-zabaan, hirz-e-jaan kya Hum jaante hain is mein hamari najaat hai
Rahmat hain Aap ﷺ saare jahanon ke waaste Kausar naseeb Aap ﷺ se rooh-e-hayat hai