Sada mein sitara sitara karoon Muhammad ﷺ Muhammad ﷺ pukara karoon
Dil-o-jaan se naat-e-Nabi ﷺ mein sunoon Dil-o-jaan ko aise sawara karoon
Khila in gulon mein Muhammad ﷺ ka naam Main zakhmon ka apne nazara karoon
Khuda ki taraf se basharat mile Ba-naam-e-Nabi ﷺ istikhara karoon
Main ashkon ki surat nazar dar nazar Muhammad ﷺ ka sadqa utara karoon
Jigar sabz patti se kaatoon agar To manzar hara aashkar karoon
Likhoon naat Saqib aqeedat bhari Ke khoon-e-jigar isti'ara karoon