Sab lab par durood sajao sarkaar hain aane waale Mahfil ko khoob sajao sarkaar hain aane waale
Miraaj ki shab ko falak par ilan kiya Jibreel ne Sab ne'maton ke naghme gao sarkaar hain aane waale
Yeh Amina keh ke bulaya ae Sa'diya Daai Haleema Zara jaldi mere ghar aao sarkaar hain aane waale
Kehti thiN Najar ki bachiyaN sab naghme Nabi ke parh kar Sab jhoomo wajd mein aao sarkaar hain aane waale
Miraaj ko Arsh-e-Ulaa par ilan kiya tha Khuda ne Mere arsh ko khoob sajao sarkaar hain aane waale
Mujhe dekh kar qabr ke andriya nikiron ne farmaya Tum Thaqibؔ naatein sunao sarkaar hain aane waale