Saaye mein tumhare hain, qismat yeh hamari hai Qurban dil-o-jaanam kya shaan tumhari hai
Kya pesh karoon Aaqa ﷺ kya cheez hamari hai Yeh dil bhi tumhara hai yeh jaan bhi tumhari hai
Naqsha tera dilkash hai surat teri pyaari hai Jis ne tumhein dekha hai so jaan se waari hai
Go laakh bure hain hum kehlate tumhare hain Ik nazar-e-karam kar do yeh arz hamari hai
Hum chhod ke us dar ko jaayein toh kahan jaayein Yeh umr tumhare hi tukdon pe guzari hai