Roye Badral-Dijaa dekhte rahe gaye Chehra wal-Duha dekhte rahe gaye
Husn-e-Khair-ul-Uriya mein Khuda ki qasam Hum jamal-e-Khuda dekhte rahe gaye
Hum gunahgar pahunchay Dar-e-Paak par Zahid o Parsa dekhte rahe gaye
Dar pe bulawa ke Data ne jhooli bhari Yeh ata par ata dekhte rahe gaye
Koaye Tayyiba mein hairat se ahl-e-sakha Shah ki jood o sakha dekhte rahe gaye
Woh hua lutf-e-payham ke salla ala Aasi o par khata dekhte rahe gaye
Chaand do tukde ho kar tasdeeq hua Dushman-e-Mustafa dekhte rahe gaye
Jaliyon ke qareen baith kar wajd mein Noor-e-Haq ki ziya dekhte rahe gaye
Ruk kar Sidra ki manzil pe Rooh al-Ameen Raf'at-e-Mustafa dekhte rahe gaye
Jo Sikandar hua un ke darbaar se Woh karam woh ata dekhte rahe gaye