Rishte tamaam tor ke saare jahaan se hum Wabasta hogaye hain tere aastaan se hum
Har rukh se har jagah theen musaib ki yoorishain Unka karam na hota to bachte kahan se hum
Sarkar aap khud hi karam se nawaz dein Kuch arz kar sakenge na apni zabaan se hum
Yeh sab gham Habib Muqarram ka faiz hai Azaad hogaye hain gham do jahaan se hum
Dunya samajh rahi hai ghani aur hain ghani Paate hain bhik aise sakhi aastan se hum
Aisa sada bahaar hai daag-e gham Nabi Mahfooz hi rahenge hamesha khazaan se hum
Khalid dar-e hijoor agar hogaya naseeb Doonon jahan leke uthge wahaan se hum