Rahmat ki barasatein darbaar-e Muhammad ﷺ mein Banti hain sab baatein darbaar-e Muhammad ﷺ mein Sab aasiyon ko yaaro bakhshish ki shafa'at ki Milti hain sooghaatein darbaar-e Muhammad ﷺ mein Darbaar-e Muhammad ﷺ ka har din hai noorani Noorani sab raatein darbaar-e Muhammad ﷺ mein Armaan mere dil mein yeh machalta rehta hai Main ja ke parhoon naatein darbaar-e Muhammad ﷺ mein Hai Arsh-e-Ma'la se anwaar o tajalli ki Sada hoti hain barasatein darbaar-e Muhammad ﷺ mein Qismat woh jagata hai rahmat woh paata hai Jo ja ke parhe naatein darbaar-e Muhammad ﷺ mein Nahin poochhi jati hain kabhi bhi aye Saqib Kisi bande se bhi zaatein darbaar-e Muhammad ﷺ mein