Rahmat-e haqq ka isi shakhs pe saya ho ga jis ne Sarkar ki mahfil ka sajaya hoga Jab suna hoga ke woh maah-e-mubeen aaye hain Jashn-e Milad harak shay ne manaya hoga Sadaqa-e Aal-e Nabi jis ne bhi manga hoga Apni soi hui qismat ka jagaaya ho ga Ho gayin mushkilain aasan jo is mushkil mein Nara-e Ahmad-e Mukhtar lagaya hoga Naimatein saare jahanon ki mili hongi usay Jo gada aap ke darbaar me aaya hoga Ban gaya hoga jo Mehboob Khuda ka banda Bazm-e Hasti mein har ek samt woh chhaya hoga Poochhta kaise koi tum se lahd mein khakiؔ Tum ne Aqa ka qasida jo sunaya hoga