Rasool-e-Khuda Sayyid-ul-Mursaleen ﷺ Qayamat ke din Shafe-ul-Mudhnibeen
Nabuwat ki masnad ka hai jaansheen Kiya jis ki tazeem Rooh-ul-Ameen
Ajab roz-e-mahshar ka sardar hai Saf-e-asfiya mein woh salar hai
Jagat mein use saltanat hai mudam Jamaat mein hai ambiya ki imam
Rah-e-shar ki hadi-e-mustaqeem Shariyat ke darya ka dur-e-yateem
Habib-e-Khuda wali-e-rozgar Do-aalam ki iqleem ka tajdar
Shah-e-ins-o-jaan sab ka maqbool hai Nabuwat ke gulzar ka phool hai
Ke jis waste khalq paida kiya Zameen aasmaan sab huwaida kiya
Kaha Haq ne Lawlak jis shaan mein Shehanshah hai mulk-e-irfan mein
Sada gum-raahon ka wahi rehnuma Hai Khair-ul-Wara Ahmad-e-Mujtaba
Ajab zaat maqbool-e-konain hai Ke konain ka qurrat-ul-ain hai