Rehnuma-e-deen-e-fitrat aap ﷺ hain Qasid-e-rushd-o-hidayat aap ﷺ hain
Khatam hai sari barai aap ﷺ par Inteha-e-auj-o-rif'at aap ﷺ hain
Pehle toh haiwaniyat ka raaj tha Ibtida-e-adamiyat aap ﷺ hain
Aap ﷺ ki seerat hai sab ki rehnuma Har zamane ki zaroorat aap ﷺ hain
Naat likh kar mutmain Rahat hai yun Is ki bakhshish ki zamaanat aap ﷺ hain