Rehte jaate hain yeh armaan haaye mere sine mein Nah kaabay ki gali deekhi nah pohuncha main Madinah mein Suna hai noor ki barsaat hoti hai Madinah mein Ilahi ek chheenta aa lage hum sab ke sine mein Muhammad ﷺ is tarah tashreef farmaa hain Madinah mein Ke jaise Surah Yaseen hai Quran ke sine mein Maza kya khaak aaye door raah kar aise jeene mein Ke parwaana yahan tarapte jale sham Madinah mein Muhammad ﷺ ki judai aag bharkati hai sine mein Rawaan jab dekhata hoon qaflay Hajj ke mahine mein Gharib jaaye kahaan ya Rab tarapte rooh ko le kar Tere mehboob ka sadaqah to pohcha de Madinah mein