Rahbar-e-hasti ne wazeh kar diya khatt khench kar Yeh maqam-e-shirk hai, yeh manzil-e-tauheed hai
Dahr ke afkar par, aamal par, ahwal par Aap ka nafs-e-wujood Allah ki tanqeed hai
Marhaba chashm-e-tasawwur, aafreen deedar-e-dost Aashiqon ke ghar toh goya saal bhar ki eid hai
Ibtida-e-jalwa hai aur dekhne ka dam nahin Allah Allah yeh hamari inteha-e-deed hai
Sakht Aasi hoon, buray aamal ka dozakh hoon main Phir bhi meri maghfirat hogi mujhe umeed hai