Rab ne faryad ko pur-asar kar diya Phir Nabi ﷺ ne mujhe jholi bhar kar diya
Dhoop mein chhaon banne ki taufiq di Ek pauday se mujh ko shajar kar diya
Rah-rau jis jagah koi chalta na tha Woh ﷺ chala to usay rahguzar kar diya
Rah mein tareek jungle tha aur Aap ﷺ ne Roshni ko mera ham-safar kar diya
Sab ki aankhein to thin par baseerat na thi Aap ﷺ ne sab ko sahib-e-nazar kar diya
Teelon tubon ke kankar thay insaan bhi Aap ﷺ ne chhoo ke un ko gohar kar diya
Aap ﷺ ne apne akhlaq-o-kirdar se Husn-e-insaan abad tak amar kar diya
Daad ahl-e-sukhan se mili hai mujhe Aap ﷺ ke zikr ne motabar kar diya