Rab ne aisa sajaya Madinah Haraak dil ko bhaya Madinah
Deewane ka qibla Kaaba Aashiq ka sarmaya Madinah
Dukh jo satayein Tayyiba chala ja Badal deta hai kaaya Madinah
Shahr jo pyaara hai batlao Sab ke lab par aaya Madinah
Bakhshish us ki lazmi ho gi Jis banday ne paaya Madinah
Tayyiba ke gun gaaye ja Saqib Tujh pe karega saaya Madinah